Friday, March 5, 2010

taar taar

Sach ka daaman hamesha taar tar/
Cheen-o-Pak ho Arab ya Hindostaan./

Chatte batte ek he thaili ke hain/
Hindu, Isaee, ho Sikh ya Muslmaan.

Hai piaayse bachon ke he khoon ke/
Falsafa-e-Comradie ho ya ho deeno-imaan.

Zehar si hai ghol di alfaaz main
Kya Punjabi, hindi ya urdu zabaan.

Har mazhab, firka, falsafa, har yakeen,
Asteen main maut ka sabh ke samaan.

Is zameen ki kokh main ghulta zehar,
Aadmi ka khoon ugle aasmaan.

Hai ye manzir bus khuda ke naam pe,
Ya garibi ko mitaane ka samaan.

No comments: