HAR SOO BIKHRE ROSHAN PAL SE KAISE JAAYE DOOR KOI !
Chehak uthe jab nannha suraj mann ke surmai aangan main,
Neem khwab se uth uth panchhi khailein soone se mann mein,
Mann umang yoon haath phailaaye, jaise sehmi shaakh koi
Aasmaan se barse pal pal, pawan nirmal raakh koi;
Mann hai ya koi peer bairagi, rahe na ban ke apna sa,
Door gagan mein pankh phailaye, khulee aankh ka sapna sa.
Ye main hoon, ya tu hai sajni, ya dono ka mail hai ye,
Kahoon phrebe-nazar isse ya kaayanaat ka khel hai ye. Idhar, udhar, har soo , har pal mein, aks tera ya tu hai ye,
Rooh Ka har kona mehakaati, awaara khushboo hai ye.
Tu bhi , main bhi, ye bhi, woh bhi , or ye sara ambar bhi,
Sagar bhi, darya bhi, galiyaan, kooche or mera ghar bhi;
Aankh ka sapna aur tarap bhi teri meri baahon ki
Hai kashsih yeh ek unkahi, bus un-dekhi raahon ki.
Tu bhi chal aakash chal raha, aur chal rahi dharti bhi,
Ik azaad sailaab sa hai tu, aur zara sa darti bhi.
Chal uth likhein naam gagan pe, tera bhi aur mera bhi.
Ek anant safar jeevan hai, par jogi ka phera bhi.
Tujh main mujh main, sabh main bikhra anjaana sa noor koi,
Har soo bikhhare roshan pal se kaise jaaye door koi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
4 comments:
I liked this poem.. and i also know the effort that must have gone into writing this..
I've never heard you speak in Hindi. Its a lovely poem.
YOU WOULDN'T BELIEVE IT BUT NO EFFORT WHATSOEVER WENT INTO THE WRITING OF IT. IT CAME IN ONE BREATH. BUT OF COURSE MY HINDI IS NOT GREAT. THEREFORE, I AM DOUBLY HAPPY AND GRATEFUL FOR YOUR WORDS OR ENCOURAGEMENT.
Aakaash se oonchi hai dil ki
oodan.....
bikhre sooraj,noor ude
behte sailaab jaa,sehra se jude
ab ujri si ret mein
ankur jazbon ke phootenge
tere mann ke gagan,
meri parwaazen lootenge
rooh ke raaste nazron se
teri dhadkan tak pahunchenge
dariya,galiyan,kooche,dharti
is neem madhoshi ko lochenge
.........................................sir,your poem is too too good.......i quit !
main poetical comment shayad is se ziaada na kar paaoon.....Regards!
Post a Comment